How to make love video in kinenaster

Hey guys welcome new article post, Dosto aaj ke is article Mein apko bataunga ki aap kis tarh love video editing kinemaster apk se kar sakte ho, aap is article ko read karne ke baad aap hamare template ko use kar ke love video editing, love video status easy se bana sakte ho,Dosto picle article Mein mene apko birthday video kese banate hai kinemaster se step by step apko bataya tha sayad apne hamare us article ko read kiya hoga, agar nahi kiya ho or aap birthday video kese edit karte hai.

kinemaster se agar apko sikhna hai to aap hamare usi article ko jake read kar lijiye aap asani se birthday video us article ki madad se video creat kar sakte ho.dosto is article Mein apko love video editing kese karte hai kinemaster se apko step by step bataunga to friends aap is article ko pura padlijiye ga thik hai dosto to aaj ke is article ko suru karte hai.

Dosto sabse phale apko kine apk ko open karna hoga thik hai dosto agar apke pass kinemaster apk nahi hai, to aap isko play store Mein jakar ke install kar ke open kar lijiye agar apko muje apk link chaiye to aap muje instagram, ya fir twitter par message kare aap mujhse kinemaster link ke liye bol sakte ho Mein apko kinemaster apk ki link apko provide karwa dunga.aap us link par click kar ke asani se install kar sakte ho fir easily full function ke sath use bhi kar sakte ho.

Dosto chalo Mein apko bata deta hu ki apko kinemaster se love video with own photo se kese edit karna hai, to dosto sabse phale apko kinemaster apk ko open kar lena hai, ok kinemaster apk ko open kar lene ke baad apko plus ke icon par click kar lena hai.

Dosto jab aap plus ke icon par click kar lete ho iske baad apko 16:9ke ratio ko select kar lena hai, thik hai dosto jab aap ration 16:9ka select kar lete ho iske baad apko Mein bata deta hu ki fir apko kya karna hai, iske baad apko simply media ke option Mein jakar black background add kar lena hai thik hai ab Black background add ho jane ke baad apko layer par click kar lena hai layer ke option par click kar ke apko media se apko love video blackscreen template effect ko is Mein add karna hoga.

Jab aaap blackscreen template ko choose kar lete ho to apke background par ye template add hoga fir apko template par click kare isko full screen kar lena hai, thi hai friends itna kuch kar lene ke baad apko kya karna hai Mein apko bata deta hu aap is article ko ache se read kar samajhne ki kosis kare jisse apko video ko creat karne Mein apko koi problem nahi ho.

Dost itna kar lene ke baad apko template ko blending ke option se template ko screen kar lena hai, thik hai dosto jab aap template ko blending se screen kar lete ho iske baad apko colour adjustment ke option se template ko thoda adjust kar lena hai.

Friends jab aap itna kar lete ho iske baad apko add kuch image add karni hai dosto apko layer par click karna hai, layer par click kar media ke option se image ko add karna hai, fir image ko crop ke option se heart Mein crop kar lena hai fir send to back kar dena is tarh 4se 5 image apko add karna hai.

Jab aap sabhi image ko adjust kar lete ho iske baad apko template mein dusri uper jo frame hai iske andar bhi apko image add karni aap ache se image ko crop kar lijiye fir upar frame par heart ke shape Mein crop kar frame anusar size kar send to back kar lena hai.

Jab ddosto ye itna edit ho jaye ab apko agar koi bhi song add karna hai to apko kese add kar na hai Mein apko wo bhi is article Mein bata deta hu, Dosto apko kinemaster Mein audio ke option se apko song add karne ka option mil jata hai aap usi option ko use kar jo song apko add karna ho wo aap song asnai se add kar sakte ho audio par click kar ke apko song choose kar plus par click kar apko song add kar Lena hai.

Ab dosto jab apka itna video edit ho jaye to apko extra background ko trim kar lena hai jo bhi extra part ho usko trim kar lijiye OK jab itna ho jaye to ek baar apko pura video check kar lena hai, video ko ache se check kar leijiye jis se apko pata cgla jaye ki video ko edit karte time apne koi mistake to nahi ki jab dosto ye itna sara kaam ho jaye to ab apko apna vide project ko aapke anusar 1080p ya fir 720p Mein export kar lena hai video jab tak pura export na ho tab tak apko wait karna hoga jab apko video export finish ho jaye to apko love video project ready ho jayega.

Dosto iis tarh apko mene is article Mein apko bataya ki aap kis tarh se easily love vide editing kinemaster se kar sakte ho to dosto i hope mene jo apko is article Mein bataya jo jankari mene editing ke related apko share ki wo apke liye but use ful rahi hogi.

Dosto aap muje jarur bataye ki is article Mein Jo jhankar apko mene share ki apko wo jankari kesi lagi dosto apka koi bhi swal jwab ho to aap muje niche comment box mein comment kar kar sakte ho, aap hamse hamare social media instagram twitter account se bhi jub sakte ho aap hame message kar sakte ho apko hamari website se social account se judne ke liye link mil jayegi.Dosto apko hamara article post apko jarur pasand aaya hoga dosto apko hum quality content provide karate rahenge aap website par visit kar ke hamare new article post ko check kar sake ho, apko hamari website par editing se related content dekhne ko milte rahenge.

Thanks for reading this article post.

Love blackscreen template here👇

Template download

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *