Wedding anniversary video editing in kinemaster

Hello dosto kese ho I hope sabhi badiya honge, Mein Bhi acha hu to dosto aaj ka article kuch special hai.dosto agar apko wedding anniversary video editing karni hai to ye article apke liye hai.

Dosto Mein Aaj apko is article Mein sikhanuga ki apko kis tarh wedding anniversary video editing karni hai, Mein apko is article Mein step by step bataunga ki apko is video ko kis tarh se edit karna hai.

Friends apko wedding anniversary video editing karne ke liye apko is article ko pura read karna hoga agar isko aap ache se read nahi karte ho to apko video ko edit karne Mein problem ho sakti hai.

Dosto apko wedding anniversary video edit karne ke liye sabse phale to apko kinemaster apk ki jarurat hogi is apk ke bina aap ye wedding anniversary video edit nahi kar sakte ho to dosto sabse phale apko kinemaster apko ko download karna hoga.

Friends Mein apko bata deta hu ki apko kinemaster apk kis tarh se or kha milega. Dosto apko kinemaster apk ke liye apko play store Mein jana hoga wha apko search bar mein apko kinemaster likhna hai thik hai dosto. Is Tarh apke samne kinemaster apk Aa jayegi, agar apko fully unlock feature chaiye kinemaster ke free to aap muje instagram par ya fir apko twitter par muje follow karke message kar dijiye. Mein apko Pro unlock apk link provide karwa dunga.

Friends jab aap kinemaster ko download karke install kar lete ho to uske baad apko kya karna hai, Mein apko is article Mein bata deta hu aap is article ko pura jarur Read kare nahi fir edit Mein problem aayegi.

OK dosto ab apko sabse phale kinemaster apk ko open kar lena hoga friends jab aap kinemaster apk ko open karenge thik hai dosto jab kinemaster apk ko aap open kar lete ho to apke samne jo plus ka icon hai apko us par hi sabse phale click karna hai.

Thik hai jab aap is par click karte ho to apko 16:9 ka jo ratio de rakha hai usko hi choose karna hai, thik hai apko 16:9ka ratio select kar lene ke baad apko apko media ke option par click kar na hai thik hai ab apko 8se 9 image apko add karni hai media se thik hai apko jo image add karni hai aap un sabhi image ko one by one easily add kar lijiye thik jab apke sabhi image add hojaye to ab apko kya karan hai,

Dosto jab apke image add ho jaye ab apko sabhi image par one by one click kar adjust kar lena hoga OK jab sari image aap is tarh se adjut kar lete ho, fir apko image ke bich jo plus icon ya box jesa kuch show kar rha hai apko iske upar click karna hoga OK jab aap is par click karenge to apke same kuch effect show honge, apko zoom oot effect sabhi box jo images ke bich hai Usmein add kar dena hai. Ok jab sabhi image Mein effect add ho jaye ab apko is ko 720p Mein export kar lena hai.

Jab video export ho jaye tab apko fir se back kar ke plus ke icon par click kar ke 16:9ka ratio ko select kar lena hai thik hai ab apko background black add kar lena hai background add kar lene ke baad apko layer par click kar ke one image select kar full screen kar lena hai us image ko, image ko full screen kar lene ke baad apko image par blur effect add kar ke blur ko full scree par kar lena hai. Thik hai jab blur ko add kar lete ho ab apko blur ki setting se isko 4 tak bada lena hai.

Dosto ab apko inta kar lene ke baad apko wedding anniversay template ko later ke option se add karna hoga, template link apko article ke last Mein mene link provide karwa di hai aap usko is Mein use kare thik hai layer se jab template ko add kar lete ho baad Mein apko isko full screen kar lena hai.fir template ko blending ke option se screen karke template colour ko adjustable kar Lena hai jis se apka template bright dikhe, ok ab apko wo video add karna hai jo video apne export karke rakh hai apko layer ke option se export video ko add kar na hai.

Jab video ko layer se add kar lete ho ab apko isko crop karke adjust kar lena hai frame ke upar fir apko template ko bring to front kar lena hai dosto is tarh apko ache se frame Mein adjust kar lena hai, Dosto jab apka itna video edit ho jaye to fir apko video mein extra background trim kar lena hai jo bhi extra part ho video mein piche se trim kar lena hai.

Dosto itna kar lene ke baad apko ek baar pure video ko check kar lena hai koi video editing Mein Koi problem to nahi hai. Jab pura video check kar lete ho. Koi problem nahi ho video mein to apko video 720p Mein export kar lena hai apko video export ho tab tak apko wait karna hai.jab video pura export jo jaye tab apka anniversary video ready ho jayega, to dosto is tarh aap eady tarike se wedding anniversary video edit kar sakte ho.

I hope dosto mene apko jo bhi is article post Mein bataya wo apke liye useful rha hoga hum jaldi apke new editing article post lekar aayenge jha se apko bhut kuch sikhne ko milega.

Thanks for reading this article post.

Wedding anniversary template👇

template download

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *