Birthday video editing in kinemaster

Hey friends welcome my new article post, friends is article Mein hum birthday new editing sikhenge, friends bhut easy step by step apko bataunga ye editing apko kis tarh se karni hai.

Friends ye article post apke liye bhut hi usefull rahega,aap is article ko suru se lekar ke end tak apko acha se read kar ke samajhna hai, guys apko jo bhi Mein is article Mein step by step bataunga apko wo ache se Follow karna hoga,.

Friends agar aap hamare bataye step ko follow karenge to apko video edit Mein Koi problem nahi aayegi or aap ache se video ko edit kar payenge.

Friends apko is tarh ke video ko edit karne ke liye sabse phale to apko kinemaster apk ki jarurat hogi agar wo apke pass nahi hai to aap sabse phale isko play store Mein jakar ke apko search karna hai kinemaster apke samne open ho jayega isko download karke install kar lena hai.

Friends apko fully unlock features kinemaster chaiye to apko hame hamare social account par follow kar ke dm karna hai Mein apko link provide karwa dunga.aap easy tarike se isko download karke install kar sakte ho.

STEP1ST

Friends apko sabse phale kinemaster apk ko open karna hai OK kinemaster apk ko open kar ke apko plus ke icon par click karna hai fir apko 16:9 ke ratio ko select kar lena hai is ke baad apko media ke option se apko background ke liye ek image ko add karna hai.

Image ko add karke image ko full kar ke crop se option se apko adjust kar leni hai, ok ab apko fir se isi background image par click kar ke image ko vintage kar lena hai.ab friends apko fx effect par click kar ke blur add karna hai blur ko puri image par kar ke blur ko 4 tak set kar lena hai.

OK friends is tarh apko 1 St step Mein is tarh apke image background par set hojayegi ab aage kya karna hai, ab friends apko..

STEP2

Friends apko fir se ek baar kinemaster Mein back kar ke suru se apko plus ke icon par click kar ke apko 16:9 ka ratio ko select kar na hai, friends ab apko media se apko 8,10 image choose kar ke image add kar leni hai ab apko one by one image ko select karte hue crop se fix adjust karni hai fir apko equal kar ke fir dusri image ko bhi isi tarh sey karni hai is tarh jitini 8,10 image hai sabko adjust kar leni hai.

OK friends ab apko sabhi image ke bich jo option hai is par click kar ke one by one apko zoom out transtion effect add kar lena hai is tarh apko effect add karte hue image ko adjust kar leni hai, sabhi image ki length same rakhte hue 30 sec apko is video ki length rakhni hai. Ok friends apke 2nd step Mein apko yahi karna hai ab apko…..

STEP3

Friends ab apko is video ko export karna hai video ko apko 720p Mein export karna hai, ok ab apko usi video ko jo hamne step 1st Mein edit kiya tha usko wapis kinemaster Mein open kar lena hai, ab apko template ko add kar lena hai template ko add karne ke liye apko layer ke option se template ko add karna hai, template ko add karne ke baad apko template ko blending ke option se screen kar lena hai.ok friends ab apko..

STEP4

Friends layer par click kar ke template ki frame Mein apko jo hamne video export kar ke ready kiya tha usko hum template ki frame Mein add kar denge fir hum is video ko frame Mein adjust karne ke liye crop ke option se frame ke according adjust kar lenge, adjust kar ke template ko bring to front kar lena hai. ok guys ab apko itemplate Mein upar jo circle frame hai is Mein apko photo add karni hai.

Friends template ki frame Mein image ko add karne ke liye apko layer par click karna hai, ab ab apko media ke option se ek image ko add karni hai image ko choose kar ke image ko crop ke option se circle kar lena hai, ab apko temple ki circle frame par adjust kar ke template ko bring to front kar lena hai.friends is tarh itni edit ho jaye ab apko video mein agar koi extra part ho to apko trim ke option se trim kar leni hai.

Friends agar apko video mein koi dusra audio music add karna hai to apko audio ke option se music add kar lena hai apko template mein audio hai isko mute karne ke liye apko template par click kar ke audio mute kar lena hai.

Firends is tarh apko sari editing kar leni hai l, friends apke yha tak vidro edit hone ke Baad ek baar video ko pura check kar le agar video edit Mein Koi problem nahi hai video mein agar extra background ho to usko trim kar lena hai.

Friends video pura edit ho jaye ab apko isko 720p ya 1080p Mein export karna hai aap is video ko 720 p Mein export kare jab tak apka video pura export nahi ho jaye tab tak apko skip nahi karna hai apko back nahi karna hai video 100%export hone ke Baad video apke successfully gallery Mein save hojayega, is tarh apke ye birthday video project ready hojayega.

Friends mmene apko article bhut simple language Mein likh kar samjhane ki kosis ki hai I hope mene apko jo bhi is article Mein birthday video editing ke bare Mein bataya apko ache se samajh aaya hoga.

Friends apko hamara article kesa laga I hope apko hamara article pasand aaya hoga, friends apko hamara article kesa laga aap hame cooment kar ke bata sakte hai, friends next article Mein apko kis tarh ki editing chaiye ye bhi comment kar ke jarur bataye hum apke choice ke anusar next video editing post lekar aayenge.

Birthday template download link👇

Birthday template download

4 thoughts on “Birthday video editing in kinemaster”

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *