Love video editing in kinemaster

Hello dosto wellcome my new editing article post, to friends kese ho I hope aap sabhi ache honge, Dosto is article post Mein apko love video editing ke bare Mein sikhane wala hu.

Friends apko is tarh ka love video ko edit karne ke liye ke liye apko is article post ko suru se lekar ke end tak pura read karna hai agar aap post ko ache se read karoge to i am sure apko video ko edit karne Mein Koi bhi problem nahi aane wali hai.

Friends apko is tarh ke video ko edit karne ke liye apko ek apk ki jarurat padegi wo apk hai kinemaster, friends apko kinemaster apk play store se mil jayegi agar apko unlock features ke sath ye apk chaiye to aap muje bataye Mein apko is apk ki link provide karwa dunga.

Friends sabse pahle apko kinemaster apk ko open kar lena hai kinemaster apk ko open kar lene ke baad apko plus ke icon par ok kar lena hai fir apko 1:1ka ratio ko select kar lena hai. ab apko media par click kar ke apko 6,7 image add kar le fir apko sabhi image ko adjust kar leni hai.

Apko sabhi image ko one by one adjust karni hai fir apko image ke andar apko transition effect add kar lena hai effect apko kinemaster apk Mein bhut se mil jayenge apko jo ache effect lagte hai wo aap apni choice ke anusar add akr sakte hai.

Apko sabhi image Mein one by one effect addd karna hai sabhi image ke andar aap effect add kar lete ho iske baad apko sabhi image ki thodi thodi length badhakar ke apko video ki length 3 sec ki kar leni hai.

Ab friends apko video ko 720p Mein export kar leni hai export ho jane ke baad apke first step video complete ho jayega. Ab friends apko fir se plus ke icon par click kar lena hai plus ke icon par click kar ke apko 16:9ka ratio ko select kar lena hai.ab friends apko media par click kar ke background image ke liye hum koi ek pic choose kar lenge or pic ko background ke liye add kar ke full screen kar ke hum isko adjust kar lenge image ki length ko apko 30 sec tak kar leni hai.

Ab friends apko background image ko apko vintage ke option se image ko vintage kar lenge vintage kar lene ke baad apko blur effect add kane ki jarurat hai iske liye apko fx effect se blur add kar lena hai blur ko add kar lene ke baad blur ko full screen image par kar ke hum blur ki setting se 5 tak blur ko kar lenge is sd kya hoga ki background image thodi se blur ho jayegi.

Ab friends apko layer par click kar ke media se apko template add karna hai template apko mene isi article post ke e d Mein mene link provide karwa di hai aap isko wha se download kar lijiye OK download kiye template ko isi video mein apko add karna hai OK jab apke template ko add kar lete ho ab apko kya karna hai.

Ab friends apko template ko full screen kar ke blending ke option se isko screen kar lenge.friends template ko screen kar lene ke baad apko layer par click kar plus ke icon par click kar ke apko media se apke export video ko hum add karenge jo video hamne first step Mein surat se ready kiye tha wo video hum choose kar ke add karenge fir hum is vide oko crop ke option se video ko heart shape Mein crop kar lenge.

Heart shape Mein video ko crop kar template ki frame Mein ache size adjust kar ke template mein video ko add kar lenge ab hum template ko bring to front kar lenge.

Friends heart shape ke frame Mein video ko add kar le e ke baad apko fir se layer par click kar ke media se export video ko choose kar ke add kar le ab apko is video ko crop se circle shape Mein video crop kar ke template ki jo frame hai iske andar apko add karna hai iske liye apko video size adjust kar leni hai ab apko template frmae ke andar adjust kar ke baad template ko bring to front kar lena hai.

Ab friends agar video mein new song add karna hai to template ke upar click kar ke template ke sound ko mute kar lena hai fir apko audio ke option se audio song choose kar ke add kar lena hai.

Friends eek baar video ko play kar ke check kar lijiye koi video edit Mein problem to nahi hai agar apke video suru se lekar end tak bilkul Read ho to ab apko is video ko export karna hai friends apko export ke option Mein jakar ke video 1080p Mein export kar lena hai jab tak apke video pura export na ho jaye tab tak apko video ko bilkul bhi skip nahi karna hai jab apke video pura export ho jayega tab apke video ready ho jayega.

Friends is tarh apke love video bankarcready ho jayega agar ab bhi apko samjg nahi aaya to aap hame bataye kha apko video ko edit karne Mein problem aarhi hai hum apni tarf se jo help karni hogi wo karenge friends mene is article post ko bilkul simple tarike se apko samajhne ki kosis ki mene bilkul simple language se apko bataya hai agar fir bhi kuch alag se is editing se related hamase agar kuch bhi puchna ho to aap bataye hum apko jarur help karenge.

To friends aapko ye article post kesa laga aap hame is article post Mein comment kar ke bataye aap hamari website par visit bhi karte rahiye apko har article post Mein new editing sikhne ko milegi. Friends apko next article post kis par chiayr ye bhi aap hame comment kar ke jarur bataye.thanks…….

Love blackscreen template download link👇

Love template download

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *