Light effect template to make video in kinemaster

Hey friends welcome back new editing article post. Friends apko is article post Mein sikhane wala hu ki aap kis tarh se light effect template ka use karke kinemaster Mein video ko edit kar sakte hai. Friends is article post Mein apko step by step bataunga apko is post ko suru se end tak Read karna hai agar aap hamare bataye gye step ke anusar video ko edit karenge to apko video ko edit karne Mein Koi bhi problem nahi aayegi.

Friends apko is tarh ke video ko edit karne ke liye apko ek apk download karni hogi jiska name hai kinemaster ye apko play store par mil jayegi aap isko wha se download kar lijiye.agar apko fully unlock feature ke sath ye apk chaiye to aap hame bataye hum apko link provide karwa denge.

How ot make video with light effect template

Friends sabse pahle to apko kinemaster apk ko open kar lena hai fir apko plus ke icon par click kar ke apko 9:16 ka ratio ko select kar lena hai fir apko media se 7,8 pic choose kar ke add kar lena hai fir apko one by one image apko ache se adjust kar ke equal kar lena hai.

Ab apko one by one transition effect ko add karna hai, transition effect aap apni choice ke according add kar sakte ho fir apko sabhi image one by one length set kar lena hai ab apko sabhi image ki length thodi thodi badhakar ke video ki length 30 sec tak kar lena ab apko is video ko ko 1080p Mein export kar lena hai.

Ab friends apko fir se plus ke icon par click kar ke 16:9 ka ratio ko select kar lena hai ratio select kar ke apko media se koi ek pic choose kar lena hai fir apko image ko ache se background mein adjust kar ke image ko vintage kar lena hai OK image ko vintage kar lena ke baad apko fx effect se blur ko add kar lena hai blur ko increase kar ke background image par full kar lena hai.

OK friends ab apko blur ko setting se 5 tak kar ke apko image ki length or blur ki length 30 sec tak kar lena hai fir apko layer par click kar ke media se apko light effect template ko add kar lena hai ye template apko download karne ke liye post ke end Mein download ke option par click karna hai.

OK friends template ko add kar lene ke baad template ko full screen kar lena hai ab apko template ko blending ke option se screen kar lena hai OK ab template ko thoda colour adjustment ke option se set kar ke highlight kar denge.

OK friends ab apko layer par click kar ke media se apko export video ko add kar lena hai export video ko add kar le video ko crop kar ke frame Mein set kar lena hai ab apko template ko bring to front kar lena hai OK friends ab apko template sound ko mute kar ke audio ke option se new audio song add karna hai.

Friends ab apko video mein agar koi extra part ho length se jyada to apko isko trim ke option se right to trim kar lena hai OK ab friends apko video ko ke baar play kar ke check kar le video edit Mein Koi problem nahi hai to video ko export kar lena hai. Jab tak apke video export nahi ho tab tak apko skip nahi karna hai is tarh apke video gallery Mein save ho jayega I hope friends apko ye article post pasand aaya hoga friends apko hamri ye editing post kesi lagi aap hame post ke comment box mein comment kar ke jarur bataye thanks..

DOWNLOAD

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *