How to use light effect template in kinemaster for editing

Hey friends welcome my new editing article post dosto is article post Mein apko light effect template se kinemaster apk se video editing kese kare ye bataunga, friends apko is article post ko pura ache se read karna hai.

Friends apko step by step apko video edit karna sikhaunga Friends agar aap hamare bataye gye step ko follow karenge to apko video ko edit karne Mein Koi problem nahi aane wali.

Friends apko is tarh ke video ko edit karne ke liye apko ek apk ki jarurat hogi kinemaster ye apk apko play store par mil jayegi agar apko fully unlock feature ke sath ye apk chaiye to aap hame bataye hum apko link provide karwa denge.

How to make video in kinemaster

Friends apko sabse pahle kinemaster apk ko open kar lena hai fir apko plus ke icon par click karna hai ab apko 9:16 ka ratio ko select kar lena hai fir apko media se apko 5,6 image ko add kar lena hai ab apko one by one sabhi image ke andar transition effect add kar lena hai. Transition effect aap zoom out ka add kar sakte hai OK ab friends apko one by one sabhi image ki length ko increase kar ke apko video ki length 30 sec kar ke is ko 1080p Mein export kar lena hai.

OK friends ab apko fir se plus ke icon par click kar ke media se koi ek pic choose kar ke background Mein add kar lijiye ab apko is image ko ache se background ke andar set kar ke image ki length 30 sec tak kar lena hai.

OK ab friends apko image ko vintage ke option se image ko vintage kar ke fx effects se blur ko add kar lijiye blur ko setting se 6,7 tak kar ke apko layer par click kar ke media se light effect template ko add kar lena hai is ki link apko is article post ke end Mein mil jayegi aap isko download kar lijiye, ok ab apko template ko add kar ke template ko full screen kar lena hai.

Template ko full screen kar ke set kar lene ke baad apko template ko blending ke option se template ko screen kar lena hai ab apko fir se layer par click kar ke media se apko export video ko add kar lijiye ab video ko add kar ne ke baad apko video ko crop se crop kar ke template frame ke andar video ko ache se set kar lena hai. Ok ab apko video ko frame ke andar set kar ne ke baad apko template ko bring to front kar lena hai.

OK friends ab apko template sound ko mute kar lena hai template sound ko mute kar lene ke baad apko audio se new song choose kar ke add kar lijiye ab ek baar video ko play kar ke check kar lijiye agar video se koi extra part trim karna ho to aap usko trim kar lijiye agar sahi hai ek baar video ko play kar lijiye video editing Mein Koi problem nahi hai to video ko apko 1080p Mein export kar lena hai.

Jab tak apka video full export nahi ho tab tak apko skip nahi karna hai is tarh apke video gallery Mein save ho jayega I hope friends apko ye article post pasand aaya hoga friends apko hamri ye editing post kesi lagi aap hame post ke comment box mein comment kar ke jarur bataye thanks..

Download

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *