Hey friends welcome my new editing article post friends apko is article post Mein kinemaster se video editing karna sikhaunga friends agar apko is tarh ka video edit karna hai to ye post apke liye usefull hai.
Friends apko is article post ko step by step jo bhi Mein bata rha hu wo apko Follow karna hai agar aap hamare bataye gye step ko follow karenge to apko video ko edit karne Mein Koi bhi problem nahi aayegi.
Friends apko is tarh ka video edit karne ke liye apko kinemaster apk ki jarurat hogi ye apk apko play store par mil jayegi agar apko fully unlock feature ke sath ye apk chaiye to aap hame bataye hum apko link provide karwa denge.
Friends is tarh ke video ko use karna bilkul asan hai apko kuch nahi karna bas is article post ko read karte hue khud se try kar ke ye video edit karna hai.
How to edit video in kinemaster
Friends sabse pahle to apko kinemaster apk ko open kar lena hai fir apko plus ke icon par click kar ke apko 1:1 ka ratio ko select kar lena hai.
Ab apko media se 5,6 image ko choose kar ke sabhi image ko ache se adjust kar lena hai ab one by one apko sabhi image ke andar transition effect add kar lena hai.
Transition effect add kar lene ke baad apko one by one sabhi image ki length ko thoda thoda increase kar lena hai image ki length apko sabhi ki is tarh set karni hai ki apka video ki length 30 sec se jyada nahi ho.
OK ab friends is video ko 1080p Mein export kar lena hai jab tak apka video full export nahi ho tab tak apko skip nahi karna hai is tarh apke video gallery Mein save ho jayega.
Ab friends apko fir se plus ke icon par click kar ke 16:9 ka ratio ko select kar lena hai ab apko media se koi ek pic background ke liye add kar lena hai background image ko ache se set kar ke image length 30 sec tak kar lena hai ab apko image ko vintage ke option se vintage kar ke fx effect se blur ko add kar lena hai fir apko blur ko setting se 3 tak kar lena hai.
Ab apko layer par click kar ke media se anniversary template ko add kar lena hai template ko add kar ke template ko full screen kar lena hai template ko blending ke option se screen kar lena hai.
OK friends ab apko layer par click kar ke media se export video ko add kar lena hai export video ko crop ke option se heart shape Mein crop kar lena hai ab apko template frmae ke andar video ko size set kar ke template ko bring to front kr lena hai.
Itna kar lene ke baad apko template sound ko mute kar ke audio se new song add karna hai OK friends ab apko agar apko extra part kuch bhi trim karna ho to kar lijiye ab apko ek baar pura video ko play kar ke check kar le video edit Mein Koi problem nahi hai to video ko export kar lena hai jab tak apka video full export nahi ho tab tak apko skip nahi karna hai is tarh apke video gallery Mein save ho jayega I hope friends apko ye article post pasand aaya hoga friends apko hamri ye editing post kesi lagi aap hame post ke comment box mein comment kar ke jarur bataye thanks..
Click here for download 👇