Hey friends welcome my new editing article post friends apko is article post Mein kinemaster se video editing karna sikhaunga friends agar apko is tarh ka video edit karna hai to ye post apke liye usefull hai.
Friends apko is article post ko step by step jo bhi Mein bata rha hu wo apko Follow karna hai agar aap hamare bataye gye step ko follow karenge to apko video ko edit karne Mein Koi bhi problem nahi aayegi.
Friends apko is tarh ka video edit karne ke liye apko kinemaster apk ki jarurat hogi ye apk apko play store par mil jayegi agar apko fully unlock feature ke sath ye apk chaiye to aap hame bataye hum apko link provide karwa denge.
How to make birthday video
Friends sabse pahle apko kinemaster apk ko open kar lena hai fir apko plus ke icon par click kar ke 1:1ka ratio ko select kar lena hai ab apko media se 6,7 image choose kar kar ke ache se adjust kar lena hai.
Ab apko one by one sabhi image ke andar transition effect daal dena hai ab apko one by one sabhi image ki length ko increase kar ke video ki length 30 sec ki kar lena hai fir apko video ko 1080p Mein export kar lena hai.
An apko fir se plus ke icon par click kar ke apko ratio 16:9 ka choose kar lena hai fir apko media, se koi ek background image choose kar ke image ko background mein ache se set kar lijiye ab apko 8mage ko vintage kar ke fx effect se blur ko add kar lena hai.
Ab friends apko image ki length 30 sec tak kar lena fir apko layer par click kar ke media se apko birthday blackscreen template ko add kar lena hai ab apko template ko full screen kar ke template ko blending ke option se screen kar lena hai.
OK friends itna kar lene ke baad apko layer par click kar media se apko export video ko add kar lena hai export video ko crop kar ke frame anusar crop kar ke frame ke andar Video ko set kar lijiye ab apko video ko bring to front kr lena hai.
OK friends itna kar lene ke baad apko template sound mute kar ke audio se new song add karna hai OK friends ab apko video se koi extra part trim karna ho to kar lijye.
Friends itna hone ke Baad apko video ko play kar ke check kar le video edit Mein Koi problem nahi hai to video ko export kar lena hai is tarh apke video gallery Mein save ho jayega I hope friends apko ye article post pasand aaya hoga friends apko hamri ye editing post kesi lagi aap hame post ke comment box mein comment kar ke jarur bataye thanks…